Supplementary volume-1(Poem)

Ajh ana tha result humara,
Utra hua tha cahra sab ka;
Andar se lag raha tha mujhe bahut darr;
Par dosto  ke samne banrahe the bajigar;
Niganhe dhund rehe  thi class teacher sir ko;

Ate-ate wo wakth bhi aya, jub mujhe pata chala ki maea supplymentry hai aya;
mud ke dekha to sath sara jawana tha;
Baki sab ko bhi bina result liye ghar jana tha;

jo galti se pass hue the unhe di hamne badhai;
Ye sab tab hua jab meri supplementery aye;

Dosto ke samne dikha rahe the jaise super cool hai hum;
Par march ke March ke mahine ke april fool the hum;
Mujhe laga jaise top karne wala principal ka bhitaja hai;

Jo aa raha tha bas dilasa de kar ja raha tha;
Kya dost,kya gilfriend;kya bhai;
Ye sab tab hua jab meri supplementary aye.

Ghar pahucha to mahool bahut darawana tha;
Pahle mummy ne sunaya, ab papa ko sunana tha.
Bukhe sone se acha tha suun lu datt.

Sucide ki plan banaya to kambakht pure sahar me itne uchi building nahi dhund paya;
Kuaa me kudne ko socha to wo bhi nahi mila;
Kambakth Falgu nadi bhi sukha tha.

Maine socha;
yuhi kyu maruu;
pahle jara paise waise kamau ;sadi karu fir bhawgan ke ghar jau;
Ye sab tab hua jab meri supply aye.